jo bigaar hyn wo sanwaar day
mery shaqseat ko nikhaar day
myn samandaron k hoon roobaroo
mujhay raah bana k guzaar day
yeh asar hayn meray gunaah ka
mujhay zulmato se nathaar day
tery naukari ka ehal banoo’n
mujhay karam se aisa sanwar day
mujhay dooryo sey hon wehshatayn
mujhay qurbaton se khumaar day
mujhay khud parasti se khud chura
mujhay bandagi ka hisaar day
mery fikr tery raza banay
mujhay feslo k mayaar day
mujhay jald aisay udhaar day
k udhaar saaray utaar day
mujhay bandagi ka aseer kar
na talab na raah e Farrar day
myn wahi hun aasif e kam yaqee’n
tu mujhay yaqee’n sey waqar day